Login Register
G
Waseem Rizvi banner
Waseem Rizvi

Waseem Rizvi

@UCnrmchaP7rjJSWYZlsYRsgA - 102 subscribers

Waseem Rizvi ki shakhsiyat daur-e-hazir mein mohtaj-e-ta'aruf nahi hai, wajeh sirf itni si hai ke unho ney apni awaaz ko fazail o masayeb-e-Ahlebayt ke liye waqf kar dia hai. Jis ke siley mein Maadar-e-Hussain (S.A.) ney un ko itna nawaza hai ke aaj sirf Bombay (Mumbai) hi nahi balke saarey India mein, ya yun kaha jaaey saari duniya mein apni awaaz ke ta'alluq sey jaaney pehchaaney jaatey hain, aur inhein momineen ki beypanaah dua'ein bhi hasil hain. Mausoof ki wiladat India kay dil kahey janey wali city Bombay mein hui. Bohat hi kam-umri kay zamaney sey nauha khani shuru ki jis sey un ke Maulai waaldain ki tarbiyat ka pata milta hai. Taqreeban 14 saloun sey lagataar nauhey aur matam kay zariye Khidmat-e-Imam (A.S.) mein hazir hain. Awaz aur andaz Maula ki dein hain, tarzain khud banaatey hain aur Bargah-e-Imam (A.S.) mein hadiya kar detey hain. Jaisa kay aap ney suna hi ho ga kay jo lafz nikalta hai dil ki awaz hota hai. Is waqt Jeddah mein aik Ba-Izzat ohdey par fayez hain.